well i got the book mujhe aese sentences to nahi ate magar mai kuch mahaweay likh deti hoon -- ape se bahar hona -- aath aath (8 8 ) ansoo rona --assman tootna --assman sar per uthana --aag lagana --aankh pher lena --aankhe churana --bazar garam hona --baras parna --bheegi bili banana --bey chirag karna --bhanda phootna --pani pani hona --pala parna --paao ki jooti samjhna --pathar ki lakeer hona --pagri uchalna --phoot phoot kar rona --phoole na samana --tare ginanatasweer ban jana --thandi saans bharna --jaan ke laale parna pehle in sab ke banaye phir baki baad mai likho gi
-- aath aath (8 8 ) ansoo rona dinky ki ammi ne dinky ki mithai chura ke khaney per pitai ki to us ne gin ker 8 ansu left aankh se 8 ansu right aankh se bahae -- ape se bahar hona dinky ke kamrey ka naam "ape" hai aur wo her roz us se bahir hoti hai --assman tootna dinky ke room ki chat pe asmaan likha huwa tha. aik din asmaan toot ke soi hui dinky per gir gaya --assman sar per uthana dinky per jub asman gira to dinky ne uth ker asmaan ko sir per uthaya aur wapis chatt per laga diya --aag lagana kul shaam hawa main khunki thi to dinky ne angeethi main aag lagai --aankh pher lena derwazey per dastuk hui to dinky ne tv se aankh pher ker derwazey ki janub dekha --aankhe churana dinky ke ocntact lense kho gae to us ne dada jaan ki aankhain chura ke apney laga lin. --bazar garam hona dubai main bohat germi thi aur din bhar bazar bohat garam raha --baras parna dinky ne quran khaani main bara sparey perhey --bheegi bili banana dinky ne kul shaam parosi ki billi ko nalkey ke neechey bitha ke bhiga diya.. --bey chirag karna dinky ne kul bay se pakra huwa chergha khaya --bhanda phootna kul raat dinky bhandey main salaan le ke dinning table ki jaanib jaa rahi thi jub achanak light chali gai aur dinky ke haath sa bhanda gir ke phoot gaya --pani pani hona kul shaam dinky bathroom ka nulka bund kerna bhool gai to bathroom ki floor paani paani ho gai --pala parna dinky ke parents ko dinky ko palna para (majbooran) --paao ki jooti samjhna kul shaam function main jaaney ke liyeh dinky ne boot ko paon ki jooti samajh ker pehen liya --pathar ki lakeer hona dinky ne arab ke sehra se kuch pather chun ker un main dermiyan main lakeer bana di aur gandam samajh ker khailna shuru ker diya --pagri uchalna dinky ke dada ghar ae to dinky ne khushi se un ke sir ki pagri le li aur ucha uchal ke khailney lagi --phoot phoot kar rona dinky ne popcorn ko oven main phoot tey dekha to der ke ro pari --phoole na samana dinky muft ka kha kha ke itna phool gai ke ub wo apney room ke derwazey main nahin samati --tare ginanatasweer ban jana dinky bachon ke saath khailtey khailtey un ko 13 tuk ki ginti sikhatey sikhatey achanuk aik pic bananey lagi --thandi saans bharna aaj subah main bohat thand thi to jub dinky school jaaney ko tayyar ho ke bahir aai to serdi se us ne thand saansain bhur ke lungs ko thanda ker liya. --jaan ke laale parna dinky ke haan john naam ka mehmaan aya to us ke cheeck pe serdi ke baes laley per gae kiyun beta jee itna kafi hai kiya?
...wow xeon bhai and gold fish.....phelay he itna funny tha ye thread aur app logon ne tu kuch zada he funny bana diya " 4 moon laga deye hian"
here r some more --ji chorna -- jaan per banana --chadar dekh kar pao pehlana --4 chand lagana --chand per khak dalna --chirag gul karna --14 ka chand --khak mai milana -- khak urana --khoon safaid hona --kheerbad keh dena --daman bachana --dant khate hona --dil bhar ana --dum torna --zaban pakarna --zindagi wabal hona --zakhmo par namak chirakna --sar charhana --kalam thorna --kaleeja moun to ana --kagaz k ghore dorana --kaam tamam karna --kan (ear) bharna --giriban mai moun dalna --ghee ke chirag jalana -- lahoo laga kar sheedoo mai milna --loha manwana --moun ki khana --naak (nose) mai dum hona --nazro mai phir jana --haath malna --hawa khana --huush urna --ik jaan do qalb hona im tried right now .......
oye hoye dinky tum itni obedient kub se ho gai ho beti? sadkey jaun bohat piyari lagi ho is waqt jeeti raho
--ji chorna-- English alphabets mein se kisi khabees ne 'G' chura liya hai -- jaan per bannana -- Kuch jumlay Nadeem bhai jaan per bannaon ga --chadar dekh kar pao pehlana-- Dinky ne jese hi Shop per itni achi chadar dekhi to us k paaon pehl kar 10 feet k ho gai --4 chand lagana--- Dinky solar system ki diagram bante huay saturn k ird gird 4 chand laga diay. --chand per khak dalna--- Phir un per khak bhee daal di --chirag gul karna-- ID card bannanay walon ne ghalti se ek aadmi ka naam "chirag" se "gul" kar diya. --14th ka chand--- Ek aadmi ne 14 shaadian ki hui thee. Ek din apne ek bachay ko us ne yun bulaiya " idher aoo mere 14th k chand" --khak mai milana-- dinky ne namak le kar ja rahi thi k us k haathon se gir gaiya aur kha mein mil gaiya. -- khak urana -- Ab us namak ko seprate karne keliay dinky phoonken maar kar khaak uraa rahi thee. --khoon safaid hona--- jab se mein ne safaid lobia khana shuru kiya hai mera khoon safaid ho gaiya hai. --dant khate hona--- Ajj subha subha nippi ne lemon ka juice piya to us k daant khatay ho gaiy. --dil bhar ana-- Qasai jaanwaron ko ziba karne k bad un k dil seprate bartan mein rahk raha tha k kuch hi der mein bartan dilon se bhar aaiya. --zaban pakarna-- dinky zara apni zaban pakar kar dhikao --sar charhana-- dinky ko dada jaan ne apna sar per chara liya. --kalleja moun to ana--- Bahot bhook lag rahi thee is liay samne parra hua chicken ka kalleja thori der mein hi moun ko aa gaiya --kagaz k ghore dorana- dinky apna dil bhelaane keliay kaghaz k ghoray bana kar dorra rahi thee. --kaam tamam karna-- Mein ne abhi abhi university ka kaam tamam kar k PKF per sign in kiya hai --moun ki khana-- dinky ne bakri kay moun ka ghost paka kar khaiya --haath malna-- Aur khaana khaanay k baadh dinky ne apnay haath kapron se mal diay --hawa khana--- phir bhee pait na bhara to dinky ne bahir jaa kar hawa khana shuru kar di --hosh urna-- Yumna ko aate dekh kar aur cheezon k ilawa Shani bhai k hosh bhe urr gaiy --Ek(1) Lohar ki Sau(100) Sunaar ki-- Nadeem bhai ne kuch murghian pakri hain. kaha jaata hai k un mein se ek (arif)Lohar ki hai aur 100 (nipi)sunar ki hain
Muhaawaraat ka bohat acha istamaal ho raha hai. Very nice & enjoyable post Zahheer Bhaai. Good work again
Dhimaagh Larraana Yumna ne aaj pehli dafa "serious discussions category" mein dhimaagh laraiya. Lekn suna hai k Yumna Aqal se baari hai
mujhay pata ahi tum khlaai makhlooq ho hai na wese is thread ka atleast first page dheko phir tumhen sahi samj aai gee is thread ki. aur kuch pages mein tumhara zikar kiya gaiya hai
lolz jhootay Xeest.........didn't u know kay devil kay paaon waisy bhee ultay hotay hein...u should have said...movli ko dekh ker yumna devil seedhay paoon bhaag gayee....tsk tsk tsk... /images/forums/b54.gif tum log aqal say baray ho bhee..